Friday, October 14, 2011

Yeh Zindagi Kuch Kehti Hain....

Zindagi ne puchha mujhse,
tu kyun rota hain?
Khushiyo ke itne gulab hain,
fir kyun tu kaato ko ginta hain?
Khushiyo ki khushbu ka anand le tu,
tu kyun ghamo ki chubhan pe chillaata hain?

Zindagi ne puchha mujhse,
tu kyun rota hain?
Khushiyo se bhari chaadar hain,
fir kyun tu gham ke dhaage ginta hain?
Khushiyo ka chadar odh le tu,
tu kyun gham ki thand mein sikudta hai

Zindagi ne puchha mujhse,
tu kyun rota hain?
Khushiyo ki haryali hain,
fir kyun tu gham ki banjar Zameen ki oor dekhta hain?
khushiyo ki chhaya mein araam karle tu,
tu kyun gham ki dhoop mein jhulasta hain?

Zindagi ne puchha mujhse,
tu kyun rota hain?
khushiyo ka samundar hain,
fir kyun tu gham ke chingari se darta hain?
Khushiyo ke samundar me doob ja tu
tu kyun gham ki aag mein jalta hain?

Zindagi ne puchha mujhse,
tu kyun rota hain?
khushiyo se bhara aasmaan hain,
fir kyun ghum ke badalon se ghabrata hain?
khushiyo ke aasmaan ke tale muskura le,
tu kyun gham ke badal ke saye mein rota hain?

Zindagi ne kaha mujhse,
beshumar khushiya hain tere pas,
zarurat hain toh ek ehsas ki,
khushiyo ki khushi ko saraahane ki,
na dikhega gham teri zindagi mein,
na rahega tu udas kabhi zindagi mein.

2 comments:

Rohit said...

Simply fantastic!!
After all your efforts of screwing up all bollywood songs is showing effect... :)
Nice poem buddy...

Obscure Optimist said...

zindagi jab sawaal karti hai, tab kabhi jawaab nahi deti.. Sirf hume raasta dikhati thi, us manzil ke or jaha hum khud jawaab dhundh sake...

Khush rehna, har haal me, ye ek hi seekh hai zindagi ki...

Aur yehi saar hai iss kavita ka...

Very very well written....